|
Post by kuchu on May 8, 2008 9:43:24 GMT 5.5
(1) Gamm mai'n hansne walo'n ko kabhi rulaya nahee'n jata, Lehro'n se pani ko hataya nahee'n jata, Hone wale ho jate hai'n khud hi dil se apne Kisi ko keh kar apna banaya nahee'n jata
(2) Samjha do apni yaado'n ko Woh bin bulaye paas aaya karti hai'n Aap to duur reh kar satatey ho magar Woh paas aa kar rulaya karti hai'n
(3) Waqt guzarta raha par saans thami si thi Muskura rahe they hum, Par ankho,n mai'n nami si thi Saath hamare ye jaha'n tha saara Par na jaane kyu'n tumhaari kami si thi
(4) God picked up a flower & dipped in honey he touched it with love n turned into u, He then gifted it to me & said This friend is for u
(5) Har ek se ach'chi baat karna FITRAT hai hamari Har ek khush rahe ye HASRAT hai hamari Koi hum ko yaad kare ya na kare Har ek ko yaad karna aadat hai hamari
|
|
|
Post by kuchu on May 8, 2008 9:44:31 GMT 5.5
Muhabbat mai'n har zakhm khatey rahey hai'n Magar phir bhi hum muskuratey rahey hai'n Kisi morh peh hum se mil jaae'n gey woh Tasal'li yeh dil ko dilatey rahey hai'n Talabb terey bin kuch nahee'n hai Khuda se Yoo'n hi haath uupar uthatey rahey hai'n Kitaabo'n mai'n rakh'khi woh tasweer teri Subb'h-o-shaam khud ko dikhatey rahey hai'n Zamaney ka darr us ko Hamid nahee'n hai Nazar peh nazar woh milatey rahey hai'n
|
|
|
Post by kuchu on May 8, 2008 9:44:52 GMT 5.5
Apne ehsaas se chchu kar mujhay sundal kar do Keh maen sadyo'n se adhura hoon mukammal kar do
Na tumhai'n hosh rahey aur na mujhay hosh rahey Is qadar toot k chaho mujhay pagal kar do
Tum hathayli ko mere pyar ki mehndi se rango Apni aankho'n main mere naam ka kajal kar do
Jaisay sahraao'n main har shaam hawa chalti hai Is tarah mujh main chalo aur mujhay jal thal kar do
Mas'ala hoon to nigahai'n na churaao mujh se Apni chahat se, tawaj'joh se mujhay hal kar do
Apne gumm se kaho har waqt mere saath rahey Aik ehsaan karo is ko musalsal kar do
Mujh pe chcha jaao kisi aag ki surat janaa'n Aur meri zaat ko sukha hua jungle kar do
|
|
|
Post by kuchu on May 8, 2008 9:45:12 GMT 5.5
Naam le le kar na mera shehr ki nazro'n mai'n aa Mujh se milna hai to mere dil k sahrao'n mai'n aa Is safar mai'n deikh ghul jaata hai mitti ka badan Mujh se milne ki na khawahish kar na barsaato'n mai'n aa Log tujh ko gungunai'n meri khawahish ki tarah Ek achchutey shay'r ki surat meri gazlo'n mai'n aa Bey hunar logo'n ne phir manga mere fun ka saboot Aa meri sach'chai ki khushbu mere lafzo'n mai'n aa Ghar k darwazey par aa kar kyun qadam rukne lagay Aa meri tanhaai meri muntazir banho'n mai'n aa
|
|