|
Post by kuchu on May 3, 2006 12:16:58 GMT 5.5
Naam le le kar na mera shehr ki nazro'n mai'n aa Mujh se milna hai to mere dil k sahrao'n mai'n aa Is safar mai'n deikh ghul jaata hai mitti ka badan Mujh se milne ki na khawahish kar na barsaato'n mai'n aa Log tujh ko gungunai'n meri khawahish ki tarah Ek achchutey shay'r ki surat meri gazlo'n mai'n aa Bey hunar logo'n ne phir manga mere fun ka saboot Aa meri sach'chai ki khushbu mere lafzo'n mai'n aa Ghar k darwazey par aa kar kyun qadam rukne lagay Aa meri tanhaai meri muntazir banho'n mai'n aa
|
|
|
Post by flora80 on May 3, 2006 16:54:49 GMT 5.5
wah jee
|
|
|
Post by govind66 on Jan 8, 2007 20:11:40 GMT 5.5
ab intazar kis bat ki, rutu aai milan ki.
|
|
dua
New Member
Posts: 5
|
Post by dua on Jan 9, 2007 11:56:21 GMT 5.5
this is fabulous .bahut hi khubsoorat gazal hai ,
|
|