|
Post by kuchu on May 11, 2006 18:08:28 GMT 5.5
Dard sa payt mai'n utha kia hai? "Aakhir is dard ki dawaa kia hai"? Qarz to le rahey ho tum mujh se Wapasi ka phir aasra kia hai? Saarey gunday hi jab k undar hai'n "Phir yeh hungama aey Khuda kia hai"? Saamnay qormay ki dish rakh kar "Kaash poocho k mud'da'aa kia hai? "Hum hai'n mushtaq aor woh bayzaar" Mayzbaano'n ko yeh hua kia hai? Kachra ghar mai'n pada hua hai woh Aaj kambhakht ne pia kia hai? Modern bivi laaey tab yeh khula "Gamza o Ashwa o Adaa kia hai" Ab kisi roz shaadi hall chalo Yaha'n daygo'n mai'n ab dhara kia hai? Gaao'n aa kar pata chala Sahib "Abar kia cheez hai Hawa kia hai
|
|