|
Post by vimala on Apr 29, 2008 10:31:52 GMT 5.5
Kaisi ye talash hai Na manzil ka pata hai Na karvan koi saath hai Wo mera Aks na jane kahan khoya hai aub taqdeer ke toote shishe mein hi pehcchan dhoondh rahe hai apani socha shayad paani me mil jaye apani parchayi paani ke bahav ke saath anjana ban gaya hai wo bhi jindagi yun bewajah naa hoti shayad mutti mein khawabon ki khushabu hoti kahin dur se aane wali pakhwaj ki dhun bhi surili hoti yun hume apane hi aks ki talash na hoti
|
|