|
Post by vimala on Jun 19, 2008 12:14:04 GMT 5.5
*!! Lafzon mein kuch bhi izhaar nahi karta !! !! Matlab yeh nahi k main tujhe pyar nahi karta !!*
*!! Chahta hoon main tujhe aaj bhi par !! !! Teri soch mein apna waqt bekaar nahi karta !!*
*!! Tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri !! !! Isliye apne dard ko dikhaya nahi karta !!*
*!! Jo kuch mila hai usi mein khush hoon main !! !! Tere liye khuda se taqraar nahi karta !!*
*!! Par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim !! !! Warna Main tujhe chahne ki khataa dobara nahi karta !!*
|
|