|
Post by vimala on Jun 24, 2008 17:42:40 GMT 5.5
jati dharam par phaila hai jo vishad aakhir kaun hai uncha aur kaun hai nishad...?
jati-dharam aur kashetrabad bana dangon ka hai aadhar, dharti maan ko baant rahe ham dekho beton ka ye pyar....!!
manav ke khoon ka manav payasa prem ki samjhe kaun pribhasha, aakhir kab tak chalega ye sab chhayi hai chahun ore nirasha...!!
rakat sabhi ka lal hai pyare phire huye sab aik samaan, jaat paat ke bhed bhula ke ban jaa-o kewal insaan....!!
jaat paat ke aadhar par na karo aapas mein ladayi, kyon hindi khud ko kahen ham kyo sikh, aur kyou kahen isayi....!!
chhodo ye sab tum pyare barbadi ka hai ye rasta, apni-apni padi hai sab ko nahin kisi ko kisi se wasta...!!
kaun hindu, kaun muslim kahalata hai aakhir bhayi bhayi ka apana naata hai bacho khud bhi, bacha-o raster ko pyare yahi "KAVI" aakhir main batlata hai...!!
|
|