|
Post by vimala on Jun 24, 2008 17:49:53 GMT 5.5
he khuda murga bana de karta kukru/koo rahoo
is dunia ke janjaal se sara jiwan door rahoo
jab dekho tab bibi seene par sawar rahati hai
chhupa chhupa ke maal khilata fir bhee tuk tuk karti hai
ban jati afsar hamari ghar ka kaam karwati hai
sachchai ko kya chhupaoo bartan bhee majwati hai
haddiya ab saath na deti sochata man randuwa rahoo,
he khuda murga ban de
meri maa ko dhakka deti baap pe gurrati hai
bhai bahin se charo joon dandbaithak lagwati hai
us aurat ka triya charitra kab tak mai sahataa rahoo,
he khuda murga ban de
|
|